English
Hindi
The Top Greetings
Let's Find Your Top Greetings
Menu
Home
Languages
English
Hindi
Greetings
Daily Greetings
Festival Greetings
Birthday Wishes
Anniversary Greetings
Celebration Day
Chalisha & Prayer/Arti Collection
Whatsapp
Custom Greeting
Contact
Chalisha & Prayer/Arti Collection
Shree Sai Baba Chalisa
Shree Sai Baba Chalisa
Chalisha & Prayer/Arti Collection
Shree Shani Chalisa
Shree Ganesh Chalisa
Shree Ganesh Aarti
Shree Shiva Chalisa
Shree Shiva Aarti
Maa Parvati Chalisa
Maa Parvati Aarti
Shree Hanuman Chalisa
Shree Hanuman Aarti
Shree Vishu Chalisa
Shree Vishu Ji Ki Aarti
Maa Laxmi Chalisa
Maa Laxmi Aarti
Shree Brahma Chalisa
Shree Brahma Chalisa Aarti
Maa Santoshi Chalisa
Maa Santoshi Aarti
Maa Durga Chalisa
Maa Durga Aarti
Shree Kunj Bihari Chalisa
Shree Kunj Bihari Aarti
Shree Krishna Chalisa
Shree Krishna Aarti
Shree Shani Chalisa
Shree Shani Aarti
Surya Bhagwan Chalisa
Surya Bhagwan Aarti
Shree Sai Baba Chalisa
Shree Sai Baba Aarti
Images
Text
Copy
Pehle Sai ke charno mein, apna sheesh nivauo maiy, Kaise Shirdi Sai aaye, saara haal sunau maiy. ||1|| Kaun hai mata, pita kaun hai, yeh na kisi ne bhi jaana, Kaha janam Sai ne dhara, prashan paheli raha bana. ||2|| Koee kahe Ayodhya ke, yeh Ramchandra bhagvan hain, Koee kehta Saibaba, pavan putra Hanuman hain. ||3|| Koee kehta mangal murti, Shri Gajanan hain Sai, Koee kehta Gokul-Mohan Devki Nandan hain Sai. ||4|| Shanker samajh bhakt kaee to, baba ko bhajhte rahte, Koee kahe avtar datt ka, pooja Sai ki karte. ||5|| Kuch bhi mano unko tum, pur sai hain sachche bhagvan, Bade dayalu deen-bandhu, kitno ko diya jivan-daan. ||6|| Kaee varsh pehle ki ghatna, tumhe sunaunga mein baat, Keesy bhagyashaali ki Shirdi mein aaee thi barat. ||7|| Aaya saath usi ke tha, baalak aik bahut sunder, Aaya aaker vahin bus gaya, paavan Shirdi kiya nagar. ||8|| Kaee dino tak raha bhatakta, bhiksha maangi usne dar dar, Aur dikhaee aisee leela, jug mein jo ho gaee amar. ||9|| Jaise-jaise umar badi, badti hee vaisy gaee shaan, Ghar ghar hone laga nagar mein, Sai baba kaa gungaan. ||10|| Digdigant mein laga goonjane, phir to Saiji ka naam, Deen-dhukhi ki raksha karna, yahi raha baba ka kaam. ||11|| Baba ke charno mein ja kar, jo kehta mein hoo nirdhan, Daya usee par hoti unkee, khul jaate dhukh ke bandhan. ||12|| Kabhi kisee ne maangi bhiksha, do baba mujhko suntaan, Aivom astoo tub kaihkar Sai de te thay usko vardaan. ||13|| Swayam dhukhi baba ho jaate, deen-dukhijan ka lukh haal, Anteh: karan bhi Sai ka, sagar jaisa raha vishal. ||14|| Bhakt ek madrasi aaya, ghar ka bahut bada dhanvaan, Maal khajana behadh uskaa, keval nahi rahi suntaan. ||15|| Laga manane Sainath ko, baba mujh per daya karo, Junjha se junkrit naiya ko, tum hee mairee par karo. ||16|| Kuldeepak ke bina andhera, chchaya hua ghar mein mere, Isee liye aaya hoon baba, hokar sharnagat tere. ||17|| Kuldeepak ke abhav mein, vyarth hai daulat ki maya, Aaj bhikhari ban kar baba, sharan tumhari mein aaya, ||18|| De de mujhko putra-daan, mein rini rahoonga jivan bhar, Aur kisi ki aas na mujko, siraf bharosa hai tum per. ||19|| Anunaye-vinaye bahut ki usne, charano mein dhar ke sheesh, Tub prasana hokar baba ne, diya bhakta ko yeh aashish. ||20|| �Allah bhala karega tera,' putra janam ho tere ghar, Kripa rahegi tum per uski, aur tere uss balak per. ||21|| Ab tak nahi kisi ne paya, sai ki kripa ka paar, Putra ratan de madrasi ko, dhanya kiya uska sansaar. ||22|| Tan-man se jo bhaje usi ka jug mein hota hai uddhar, Sanch ko aanch nahi haiy koee, sada jooth ki hoti haar. ||23|| Mein hoon sada sahare uske, sada rahoonga uska daas, Sai jaisa prabhu mila haiy, itni ki kum haiy kya aas. ||24|| Mera bhi din tha ik aisa, milti nahi mujhe thi roti, Tan per kapda duur raha tha, sheish rahi nanhi si langoti, ||25|| Sarita sammukh hone per bhi mein pyasa ka pyasa tha, Durdin mera mere ooper, davagani barsata tha. ||26|| Dharti ke atirikt jagat mein, mera kuch avalumbh na tha, Bana bhikhari maiy duniya mein, dar dar thokar khata tha. ||27|| Aise mein ik mitra mila jo, param bhakt Sai ka tha, Janjalon se mukt, magar iss, jagti mein veh bhi mujh sa tha. ||28|| Baba ke darshan ke khatir, mil dono ne kiya vichaar, Sai jaise daya murti ke darshan ko ho gaiye taiyar. ||29|| Paavan Shirdi nagari mein ja kar, dhekhi matvaali murti, Dhanya janam ho gaya ki humne jab dhekhi Sai ki surti. ||30|| Jabse kiye hai darshan humne, dukh sara kaphur ho gaya, Sankat saare mite aur vipdaon ka ant ho gaya. ||31|| Maan aur sammaan mila, bhiksha mein humko baba se, Prati bambit ho uthe jagat mein, hum Sai ki abha se. ||32|| Baba ne sammaan diya haiy, maan diya is jivan mein, Iska hee sambal le mein, hasta jaunga jivan mein. ||33|| Sai ki leela ka mere, mun par aisa assar hua, Lagta, jagti ke kan-kan mein, jaise ho veh bhara hua. ||34|| 'Kashiram' baba ka bhakt, iss Shirdi mein rehta tha, Maiy Sai ka Sai mera, veh duniya se kehta tha. ||35|| Seekar svayam vastra bechta, gram nagar bazaro mein, Jhankrit uski hridh-tantri thi, Sai ki jhankaron se. ||36|| Stabdh nisha thi, thay soye, rajni aanchal me chand sitare, Nahi soojhta raha hath ka, hath timiri ke mare. ||37|| Vastra bech kar lote raha tha, hai! Haath se 'kaashi', Vichitr bada sanyoga ki uss din aata tha veh akaki. ||38|| Gher raah mein khare ho gaye, usse kutil, anyaayi, Maaro kaato looto iski, hee dhvani pari sunaee. ||39|| Loot peet kar usse vahan se, kutil gaye champat ho, Aaghaton se marmahat ho, usne di thi sangya kho. ||40|| Bahut der tak para raha veh, vahin usi halat mein, Jaane kab kuch hosh ho utha, usko kisi palak mein. ||41|| Anjane hee uske muh se, nikal para tha Sai, Jiski prati dhvani Shirdi mein, baba ko parri sunai. ||42|| Shubdh utha ho manas unka, baba gaye vikal ho, Lagta jaise ghatna sari, ghati unhi ke sunmukh ho. ||43|| Unmadi se idhar udhar tab, baba lage bhatakne, Sunmukh chizein jo bhi aiee, unkoo lage patkne. ||44|| Aur dhadhakte angaro mein, baba ne kar dala, Huye sashankit sabhi vaha, lakh tandav nritya nirala. ||45|| Samajh gaye sab log ki koi, bhakt para sankat mein, Shubit khare thai sabhi vaha par, pare huye vismaiye mein. ||46|| Usse bachane ke hi khatir, baba aaj vikal hai, Uski hi piraa se pirit, unka ant sthal hai. ||47|| Itne me hi vidhi ne apni, vichitrata dhikhlayi, Lukh kar jisko janta ko, shradha sarita lehrayee. ||48|| Lekar sanghya heen bhakt ko, gaari ek vaha aayee, Sunmukh apne dekh bhakt ko, Sai ki aankhe bhar aayee. ||49|| Shant, dheer, gambhir sindhu sa, baba ka anthsthal, Aaj na jane kyon reh-rehkar, ho jaata tha chanchal. ||50|| Aaj daya ki murti svayum tha bana hua upchaari, Aur bhakt ke liye aaj tha, dev bana prati haari. ||51|| Aaj bhakti ki vishum pariksha mein, safal hua tha Kaashi, Uske hee darshan ki khatir, thai umre nagar-nivasi. ||52|| Jab bhi aur jahan bhi koyee, bhakt pare sankat mein, Uski raksha karne baba jate hai pulbhur mein. ||53|| Yug yug ka hai satya yeh, nahi koi nayee kahani, Aapat grast bhakt jab hota, jate khudh antar yami. ||54|| Bhedh bhaav se pare pujari manavta ke thai sai, Jitne pyare Hindu-Muslim uutne hi Sikh Isai. ||55||
Facebook
whatsapp
Facebook
Twitter